aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gae
KHwabida zindagi thi jaga kar chale gae
husn-e-azal ki shan dikha kar chale gae
ek waqia sa yaad dila kar chale gae
chehre tak aastin wo la kar chale gae
kya raaz tha ki jis ko chhupa kar chale gae
rag rag mein is tarah wo sama kar chale gae
jaise mujhi ko mujh se chura kar chale gae
meri hayat-e-ishq ko de kar junun-e-shauq
mujh ko tamam hosh bana kar chale gae
samjha ke pastiyan mere auj-e-kamal ki
apni bulandiyan wo dikha kar chale gae
apne farogh-e-husn ki dikhla ke wusaten
mere hudud-e-shauq baDha kar chale gae
har shai ko meri KHatir-e-nashad ke liye
aaina-e-jamal bana kar chale gae
aae the dil ki pyas bujhane ke waste
ek aag si wo aur laga kar chale gae
aae the chashm-e-shauq ki hasrat nikalne
sar-ta-qadam nigah bana kar chale gae
ab karobar-e-ishq se fursat mujhe kahan
kaunain ka wo dard baDha kar chale gae
shukr-e-karam ke sath ye shikwa bhi ho qubul
apna sa kyun na mujh ko bana kar chale gae
lab tharthara ke rah gae lekin wo ai 'jigar'
jate hue nigah mila kar chale gae
Ghazal
Aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gae
Jigar Moradabadi