aankhon mein bas gaya koi banhon se dur hai
chaha hai chand ko yahi apna qusur hai
dozaKH mein ji raha hun isi ek aas pe
jannat ko koi rasta jata zarur hai
main laDkhaDa raha hun sadaqat ki rah pe
is ruh pe abhi bhi badan ka surur hai
ye raushni ke dagh ujale to hain nahin
qasir sa aasman ke sitaron ka nur hai
ab kya bataen tum ko sifat dil ke dagh ki
hum muflison ke pas koi koh-e-nur hai
bhagwan ban gaya hai mera yar aaj kal
rahta hai sath phir bhi lage dur dur hai
kyun ishq ki karah gadagar ki aah ho
kya husn ka ghurur KHudai ka nur hai
Ghazal
Aankhon mein bas gaya koi banhon se dur hai
Mayank Awasthi