aankhon mein agar aap ki surat nahin hoti
is dil mein mohabbat kisi surat nahin hoti
jab tak pas-e-parda wo chhupe baiThe rahenge
kuchh bhi yahan ho jae qayamat nahin hoti
dekhe jo tujhe log to samjhe mere ashaar
lafzon se to sheron ki wazahat nahin hoti
kya aur koi kaam kare chhoDiye sahab
bekari se duniya mein faraghat nahin hoti
shahron ke tasawwur se bhi ghabrane laga dil
sahra mein chale jao to wahshat nahin hoti
us umr mein baDh jate hain mehnat ke taqaze
jis umr mein insan se mehnat nahin hoti
hoti thi har ek baat pe hairat mujhe pahle
ab mujh ko kisi baat pe hairat nahin hoti
barbaad 'abad' hum ko murawwat ne kiya hai
sab hota jo aankhon mein murawwat nahin hoti
Ghazal
Aankhon mein agar aap ki surat nahin hoti
Sarfraz Abad