اردو हिंदी
Aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya | Shaahi Shayari
aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya

Ghazal

Aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya

Adeem Hashmi

;

aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya
miTTi mein motiyon ko bikharne nahin diya

jis rah par paDe the tere panw ke nishan
is rah se kisi ko guzarne nahin diya

chaha to chahaton ki hadon se guzar gae
nashsha mohabbaton ka utarne nahin diya

har bar hai naya tere milne ka zaiqa
aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya

ye hijr hai to is ka faqat wasl hai ilaj
hum ne ye zaKHm-e-waqt ko bharne nahin diya

itne baDe jahan mein jaega tu kahan
is ek KHayal ne mujhe marne nahin diya

sahil dikhai de to raha tha bahut qarib
kashti ko rasta hi bhanwar ne nahin diya

jitna sakun mila hai tere sath rah mein
itna sukun to mujhe ghar ne nahin diya

is ne hansi hansi mein mohabbat ki baat ki
main ne 'adim' us ko mukarne nahin diya