aankhon mein aaj aansu phir DabDaba rahe hain
hum kal ki aastinen ab tak sukha rahe hain
ehsan jata jata kar nashtar laga rahe hain
meri kahaniyan sab mujh ko suna rahe hain
aansu gham-o-KHushi ke jalwe dikha rahe hain
kuchh jagmaga rahe hain kuchh jhilmila rahe hain
saqi ke ruThne par rindon mein barhami hai
saghar se aaj saghar Takrae ja rahe hain
ab chahe shakl-e-farda jitni hasin-tar ho
jo din guzar gae hain wo yaad aa rahe hain
himmat na haar dena ai hasrat-e-nazara
ek aaftab se hum aankhen laDa rahe hain
wahshi hain kis ke kitna suthra mazaq gham hai
shabnam se aansuon ke qatre mila rahe hain
aankhon par apni rakh kar sahil ki aastin ko
hum dil ke Dubne par aansu baha rahe hain
khulta 'siraj' kuchh to ye raaz zindagi ka
ye har nafas mein kis ke paigham aa rahe hain
Ghazal
Aankhon mein aaj aansu phir DabDaba rahe hain
Siraj Lakhnavi