aankhon ko sujhta hi nahin kuchh siwa-e-dost
kanon mein aa rahi hai barabar sada-e-dost
kaisi wafa sitam se bhi us ne uThae hath
rah rah ke yaad ab aati hai tarz-e-jafa-e-dost
sine mein dagh-ha-e-mohabbat ki hai bahaar
phula hai KHub ye chaman dil-kusha-e-dost
dil mein mere jigar mein mere aankh mein meri
har ja hai dost aur nahin milti hai ja-e-dost
muddat se panw toDe hue baiThe the 'sharaf'
aaKHir uDa ke le hi chali ab hawa-e-dost
Ghazal
Aankhon ko sujhta hi nahin kuchh siwa-e-dost
Sharaf Mujaddidi