aankhon ko mayassar koi manzar hi nahin tha
sar mera gareban se bahar hi nahin tha
be-faiz hawaen thin na saffak tha mausam
sach ye hai ki us ghar mein koi dar hi nahin tha
sar chain se rakkha na ruke panw ke dil mein
ek baat bhi paiwast thi KHanjar hi nahin tha
hum haar to jate hi ki dushman ke hamare
sau pair the sau hath the ek sar hi nahin tha
sahra mein wo sab kuchh tha jo tha shahr mein apne
ek nafa o nuqsan ka daftar hi nahin tha
hathon pe dhara sar ko 'suhail' aur chale hum
ab bab koi aur mayassar hi nahin tha
Ghazal
Aankhon ko mayassar koi manzar hi nahin tha
Suhail Ahmed Zaidi