aankhon ko intishaar hai dil be-qarar hai
ai aane wale aaqa tera intizar hai
baalin pe waqt-e-naza koi sharmsar hai
ai zindagi palaT ki tera intizar hai
allah ri ye nazakat-e-yak-jalwa-e-nigah
KHud un ka husn un ki tabiat pe bar hai
jine pe iKHtiyar na marne pe iKHtiyar
sadqe is iKHtiyar ke kya iKHtiyar hai
qismat juda sahi pa haqiqat to ek hai
jo sham-e-bazm hai wahi sham-e-mazar hai
tum dur ho to lakh bahaaren bhi hain KHizan
tum pas ho agar to KHizan bhi bahaar hai
iqbaal aaj shahr-e-nigaran mein mera dil
is par nisar hai kabhi us par nisar hai
Ghazal
Aankhon ko intishaar hai dil be-qarar hai
Iqbal Husain Rizvi Iqbal