aankhon ko ek KHwab dikhaya ja sakta hai
qissa yusuf ka dohraya ja sakta hai
sari duniya ko Thukraya ja sakta hai
husn-o-ishq dua se paya ja sakta hai
jo mujh mein ho zuleKHa tujh mein yusuf koi
umron ka sarmaya laya ja sakta hai
us ko kahna meri aankhon ke kase mein
did ka ek sikka to dikhaya ja sakta hai
nadan itna mat samjho tum dil ko 'amabar'
kab yaadon se ise bahlaya ja sakta hai
Ghazal
Aankhon ko ek KHwab dikhaya ja sakta hai
Nadiya ambar lodhi