aankhon ko chamak chehre ko ek aab to dije
jhuTa hi sahi aap koi KHwab to dije
hum sang-e-giran hain KHas-o-KHashak hain kya hain
malum ho pahle koi sailab to dije
hum jam-ba-kaf baiThe rahen aur kahan tak
taqdir mein amrit nahin zahrab to dije
hum ko bhi hai ye shauq ki Duben kabhi ubhren
ho gardish-e-ayyam ka girdab to dije
madhosh na kar den jo zamane ko to kahna
hathon mein hamare koi mizrab to dije
marne ki hawas hai hamein diwane hue hain
jine ke agar pas hon aadab to dije
viranon ko gulshan hi banaenge 'matin' hum
khilne zara ek ghuncha-e-shadab to dije
Ghazal
Aankhon ko chamak chehre ko ek aab to dije
Syed Fazlul Mateen