aankhon ko ashk-bar kiya kya bura kiya
yun gham ko aashkar kiya kya bura kiya
ek umr intizar kiya kya bura kiya
wade ka e'tibar kiya kya bura kiya
jab wasl-e-yar zist ka unwan na ban saka
gham ko gale ka haar kiya kya bura kiya
sehn-e-chaman mein dhum hai fasl-e-bahaar ki
daman ko tar tar kiya kya bura kiya
aish-o-nishat se rahe mahrum umr-bhar
tanhaiyon se pyar kiya kya bura kiya
hum ne kisi ke husn-e-tabassum ko dekh kar
qalb-o-jigar nisar kiya kya bura kiya
dil luTne ke baad 'nazar' kah rahe hain wo
han hum ne be-qarar kiya kya bura kiya
Ghazal
Aankhon ko ashk-bar kiya kya bura kiya
Nazar Barni