aankhon ko ashk-bar kiya hai kabhi kabhi
yun tera intizar kiya hai kabhi kabhi
mahshar ko darkinar kiya hai kabhi kabhi
tujh par jo eatibar kiya hai kabhi kabhi
KHun-e-jigar se hum ne gulon ko nikhaar kar
gulshan ko pur-bahaar kiya hai kabhi kabhi
us aastana-e-naz se nafrat bhi ki magar
sajda bhi bar bar kiya hai kabhi kabhi
hum ne tumhaari yaad ke daghon se bhar ke dil
dil-gashta-e-bahaar kiya hai kabhi kabhi
saqi ne de ke jam kiya hum ko shadman
waiz ne sogwar kiya hai kabhi kabhi
'marghub' teri di hui diwangi ka faiz
hasti ko tar tar kiya hai kabhi kabhi

Ghazal
Aankhon ko ashk-bar kiya hai kabhi kabhi
Marghoob Asar Fatmi