اردو हिंदी
Aankhon ki nadi sukh gai phir bhi hara hai | Shaahi Shayari
aankhon ki nadi sukh gai phir bhi hara hai

Ghazal

Aankhon ki nadi sukh gai phir bhi hara hai

Asghar Gorakhpuri

;

aankhon ki nadi sukh gai phir bhi hara hai
wo dard ka pauda jo mere dil mein uga hai

jaan de ke bhi chahun to use pa na sakun main
wo chand ka TukDa jo dariche mein jaDa hai

sailab hain chehron ke to aawaz ke dariya
ye shahr-e-tamanna to nahin dasht-e-sada hai

'asghar' ye safar shauq ka ab kaise kaTega
jo hum ne tarasha tha wo but TuT gaya hai