aankhon ki dahliz pe aa kar baiTh gai
teri surat KHwab saja kar baiTh gai
kal teri taswir mukammal ki main ne
fauran us par titli aa kar baiTh gai
tana-bana bunte bunte hum udhDe
hasrat phir thak kar ghash kha kar baiTh gai
khoj raha hai aaj bhi wo gular ka phul
duniya to afwah uDa kar baiTh gai
rone ki tarkib hamare aai kaam
gham ki miTTi pani pa kar baiTh gai
wo bhi laDte laDte jag se haar gaya
chahat bhi ghar-bar luTa kar baiTh gai
buDhi man ka shayad lauT aaya bachpan
guDiyon ka ambar laga kar baiTh gai
ab ke charaghon ne chaunkaya duniya ko
aandhi aaKHir mein jhunjhla kar baiTh gai
ek se baDh kar ek the dawn sharafat ke
jit magar hum se katra kar baiTh gai
tere shahr se ho kar aai tez hawa
phir dil ki buniyaad hila kar baiTh gai
Ghazal
Aankhon ki dahliz pe aa kar baiTh gai
Irshad Khan ’Sikandar’