aankhon ke iztirab se aise jhaDe hain KHwab
shab ke shajar pe nind ki surat paDe hain KHwab
aati nahin hai nind mujhe is liye bhi dost
aankhon ki putliyon mein hazaron jhaDe hain KHwab
nikla na phir bhi koi natija bahaar ka
tabir se agarche bahut hi laDe hain KHwab
jab bhi chala hun nind ke raste pe yun laga
hathon ko joD kar mere aage khaDe hain KHwab
dil se ghamon ka is liye chhaala na ja saka
kanTon ki misl chashm-e-talab mein aDe hain KHwab
tujh ko kahan KHabar hai ki kaise hain ratjage
tujh ko kahan KHabar hai ki kitne kaDe hain KHwab
is bar bhi yahan KHas-o-KHashak ki tarah
aankhon mein jis qadar the wo sare saDe hain KHwab
aaya nahin 'nabil' palaT ke wo ek shaKHs
ranjida is liye bhi hamare baDe hain KHwab
Ghazal
Aankhon ke iztirab se aise jhaDe hain KHwab
Nabeel Ahmad Nabeel