aankhon ka qusur kuchh nahin hai
jismon se ghilaf haT gae hain
jo baal ki khaal utarte the
sahraon mein ghas kaTte hain
hum log to ho gae hain pagal
KHwabon ki kitab likh rahe hain
insan mein kya bhara hua hai
honTon se dimagh tak sile hain
ye kaise zaban se ada hon
KHake jo dilon mein an-kahe hain

Ghazal
Aankhon ka qusur kuchh nahin hai
Majid-ul-Baqri