aankhon ka pura shahr hi sailab kar gaya
ye kaun mujh mein nazm ki surat utar gaya
jangal mein teri yaad ke jugnun chamak uThe
maidan siyah-shab ka ujalon se bhar gaya
warna siyah raat mein jhulsa hua tha main
ye to tumhaari dhup mein kuchh kuchh nikhar gaya
jhuma thirakte nachte joDon mein kuchh ghaDi
dil phir na jaane kaisi udasi se bhar gaya
donon ana mein chur the an-ban si ho gai
rishta naya naya sa tha kuchh din mein mar gaya
pahle kuchh ek din to kaTi mushkilon mein raat
phir tera hijr meri ragon mein utar gaya
hathon se apne KHud hi nasheman ujaD kar
dekho udas ho ke parinda kidhar gaya
ek chiKH aasman ke daman mein so gai
dil ki zamin pe dard har ek su bikhar gaya
Ghazal
Aankhon ka pura shahr hi sailab kar gaya
Alok Mishra