aankhon ka KHuda hi hai ye aansu ki hai gar mauj
kashti bache kyunkar jo rahe aaTh pahar mauj
ai bahr na tu itna umanD chal mere aage
ro ro ke Duba dunga kabhi aa gai gar mauj
pahuncha nahin gar tera qadam ta-lab-e-dariya
sahil se paTak sar ko hai kyun KHak-ba-sar mauj
gar aalam-e-ab is ka kamin-gah nahin hai
kyun tair-e-bismil ki tarah mare hai par mauj
uThte nahin sahil ki misal apne makan se
dariya ki tarah marte hain apne hi ghar mauj
kya puchhte ho ashk ke dariya ka talatum
jati hai nazar jis taraf aati hai nazar mauj
gar nahin hai 'huzur' us ko hawas did ki us ke
kyun khole hababon se hai yun dida-e-tar mauj
Ghazal
Aankhon ka KHuda hi hai ye aansu ki hai gar mauj
Gulam Yahya Huzur Azimabadi