اردو हिंदी
Aankhon ka bharam nahin raha hai | Shaahi Shayari
aankhon ka bharam nahin raha hai

Ghazal

Aankhon ka bharam nahin raha hai

Saud Usmani

;

aankhon ka bharam nahin raha hai
sarmaya-e-nam nahin raha hai

har shai se palaT rahi hain nazren
manzar koi jam nahin raha hai

barson se ruke hue hain lamhe
aur dil hai ki tham nahin raha hai

yun mahw-e-gham-e-zamana hai dil
jaise tera gham nahin raha hai