aankhon dekhi baat kahani lagti hai
nai nai si rit purani lagti hai
dasht-nawardi lagti hai saughat teri
shab-bedari koi nishani lagti hai
tashon ka tha khel suhana bachpan ka
chu-mantar si bhari jawani lagti hai
sham hui to kale sae umaD paDe
subh ko to har chiz suhani lagti hai
mariyam jaisi dhuli dhuli ek murat si
mera jaisi koi diwani lagti hai
chehra aankhen honT tumhaare jaise hain
surat phir bhi kyun anjaani lagti hai
TuTe jaise koi khilauna miTTi ka
patthar jaisi saKHt jawani lagti hai
Ghazal
Aankhon dekhi baat kahani lagti hai
Shahid Mahuli