اردو हिंदी
Aankhon aankhon mein mohabbat ka payam aa hi gaya | Shaahi Shayari
aankhon aankhon mein mohabbat ka payam aa hi gaya

Ghazal

Aankhon aankhon mein mohabbat ka payam aa hi gaya

Rashid Shahjahanpuri

;

aankhon aankhon mein mohabbat ka payam aa hi gaya
marhaba izn-e-wida-e-nang-o-nam aa hi gaya

aafiyat ke nam wahshat ka payam aa hi gaya
lo ye afsana qarib-e-iKHtitam aa hi gaya

kam se kam jazb-e-wafa itna to kaam aa hi gaya
be-irada un ke lab par mera nam aa hi gaya

shaiKH ka sab zohd-o-taqwa aaj kaam aa hi gaya
jab wo mina-e-rawan sahba ba-jam aa hi gaya

mai-kade mein jaane kya kya gul khilate shaiKH-ji
wo to rindon ko KHayal-e-ehtiram aa hi gaya

umr-bhar jis ke liye aankhen rahi hain farsh-e-rah
wo ajal ka qasid-e-farKHanda-gam aa hi gaya

naz the kya kya uruj-e-nayyar-e-iqbaal par
dopahar ke baad dekha waqt-e-sham aa hi gaya

alwidaa ai zoam-e-hasti al-firaq ai wahm-e-zist
maut ban kar muzhda-e-umr-e-dawam aa hi gaya

zabt-e-raaz-e-gham pe sau jaanen bhi kar dete nisar
kya bataen bas zaban par un ka nam aa hi gaya

husn ne bhi karwaTen badli hain ai dil raat-bhar
teri peshani se dagh-e-nang-e-KHam aa hi gaya

jab kahin lutf-e-suKHan ki baat aai hai 'rashid'
eatibarul-mulk ka har lab pe nam aa hi gaya