aankhen zamin aur falak dastkar hain
pani ke jitne rup hain sab mustaar hain
KHud ko akela jaan ke tanha na jaanna
ye aaine nahin hain tere pahre-dar hain
mushkil ki is ghaDi mein karun kis se mashwara
kuchh dost hain to wo bhi fasana-nigar hain
ye chhanw jaisi dhup hamara mizaj hai
hum log aaftab hain aur saya-dar hain
'arish' jo mere sar pe nahin ho sake sawar
wo sare log meri kamar par sawar hain
Ghazal
Aankhen zamin aur falak dastkar hain
Sarfraz Arish