aankhen meri talwon se wo mal jae to achchha
hai hasrat-e-pa-bos nikal jae to achchha
jo chashm ki be-nam ho wo ho kor to behtar
jo dil ki ho be-dagh wo jal jae to achchha
bimar-e-mohabbat ne liya tere sambhaala
lekin wo sambhaale se sambhal jae to achchha
ho tujh se ayaadat jo na bimar ki apne
lene ko KHabar us ki ajal jae to achchha
khinche dil-e-insan ko na wo zulf-e-siyah-fam
azhdar koi gar us ko nigal jae to achchha
tasir-e-mohabbat ajab ek hub ka amal hai
lekin ye amal yar pe chal jae to achchha
dil gir ke nazar se teri uThne ka nahin phir
ye girne se pahle hi sambhal jae to achchha
furqat mein teri tar-e-nafas sine mein mere
kanTa sa khaTakta hai nikal jae to achchha
ai girya na rakh mere tan-e-KHushk ko gharqab
lakDi ki tarah pani mein gal jae to achchha
han kuchh to ho hasil samar-e-naKHl-e-mohabbat
ye sina phaphulon se jo phal jae to achchha
wo subh ko aae to karun baaton mein dopahar
aur chahun ki din thoDa sa Dhal jae to achchha
Dhal jae jo din bhi to usi tarah karun sham
aur chahun ki gar aaj se kal jae to achchha
jab kal ho to phir wo hi kahun kal ki tarah se
gar aaj ka din bhi yun hi Tal jae to achchha
al-qissa nahin chahta main jae wo yan se
dil us ka yahin garche bahal jae to achchha
hai qata rah-e-ishq mein ai 'zauq' adab shart
jun shama tu ab sar hi ke bal jae to achchha
Ghazal
Aankhen meri talwon se wo mal jae to achchha
Sheikh Ibrahim Zauq