اردو हिंदी
Aankhen kis ka khoj lagati rahti hain | Shaahi Shayari
aankhen kis ka khoj lagati rahti hain

Ghazal

Aankhen kis ka khoj lagati rahti hain

Nazeer Qaisar

;

aankhen kis ka khoj lagati rahti hain
shaklen apna aap chhupati rahti hain

aane wale dinon ki dhundli taswiren
gae dinon ke KHwab dikhati rahti hain

mausam ke rudad raqam karne ke liye
shaKHen apne hath kaTati rahti hain

miTTi kyun rangon ko zahir karti hai
KHushbuen kyun KHak uDati rahti hain

kaun hawaen hain jo lauh-e-alam par
aankhen chehra hath banati rahti hain

tanhai mein KHamoshi ki aawazen
mujh ko mera nam batati rahti hain

sari raat gali ke KHali nukkaD par
tez hawaen lamp hilati rahti hain