aankhen khuli thin sab ki koi dekhta na tha
apne siwa kisi ka koi aashna na tha
yun kho gaya tha husn hujum-e-nigah mein
ahl-e-nazar ko apni nazar ka pata na tha
dhundla gae the naqsh-e-mohabbat kuchh is tarah
pahchanti thi aankh to dil manta na tha
tum pas the tumhein to hui hogi kuchh KHabar
itna to apna shisha-e-dil be-sada na tha
kuchh log the jinhen ye saadat hui nasib
warna yahan kise sar-e-mehr-o-wafa na tha
har samt ho raha tha andheron ka azhdaham
shab kaT chuki thi aur sawera hua na tha
kya kya fraghaten thin 'tabassum' hamein ki jab
dil par kisi ki yaad ka saya paDa na tha
Ghazal
Aankhen khuli thin sab ki koi dekhta na tha
Sufi Tabassum