aankhen khuli hui hain to manzar bhi aaega
kandhon pe tere sar hai to patthar bhi aaega
har sham ek masala ghar bhar ke waste
bachcha ba-zid hai chand ko chhu kar bhi aaega
ek din sununga apni samaat pe aahaTen
chupke se mere dil mein koi Dar bhi aaega
tahrir kar raha hai abhi haal-e-tishnagan
phir is ke baad wo sar-e-mimbar bhi aaega
hathon mein mere parcham-e-aghaz-e-kar-e-KHair
meri hatheliyon pe mera sar bhi aaega
main kab se muntazir hun sar-e-rahguzar-e-shab
jaise ki koi nur ka paikar bhi aaega
Ghazal
Aankhen khuli hui hain to manzar bhi aaega
Ameer Qazalbash