aankhen KHuda ne baKHshi hain rone ke waste
do kashtiyan mili hain Dubone ke waste
uryan chalun main qabr mein sone ke waste
kafi hai mujh ko post bichhaune ke waste
kushton ke khet mein jo huzur aaj hans paDe
moti ke dane mil gae bone ke waste
nind uD gai hai rang-e-talai ki yaad mein
paras ka surma chahiye sone ke waste
afsun se samri ko jalate hain wasl mein
jadu jaga rahe hain wo Tone ke waste
taDpa main KHak par to kiya charKH ne karam
bijli girai mere bichhaune ke waste
KHwabidgan-e-KHak hain giryan mazar par
soton ki aankhen khul gain rone ke waste
ye ghul ke mar gaya hun ki mera kafan tamam
jala bana hai qabr ke kone ke waste
jina hai sab ko maut hai taswir ki tarah
naqshe jame hue hain na hone ke waste
sangin dili se champai rangon ki hai chamak
sang-e-mahak zarur hai sone ke waste
goya zaban hun dahan-e-rozgar mein
kya kya maze mile mujhe khone ke waste
naqsh-e-nagin-e-mohr mera naqsh-e-ab hai
paida hua hun nam Dubone ke waste
danton ke ishq mein hai ye ighraq-e-laghari
dauDa hun motiyon ke pirone ke waste
chakki lagi hai bosa-e-husn malih ki
zaKHmon ke munh khuli hain salone ke waste
maila hai farsh par to mah-e-aj mai-kasho
lao sharab chandni dhone ke waste
shayad karenge chashma-e-KHurshid mein wo ghusl
shabnam chali hai pani samone ke waste
us husn-e-pur-namak mein ajab hai numud-e-KHat
dekha hujum-e-mor salone ke waste
qarun ka bhi KHazana luTa dijiye 'munir'
mumsik ka mal luTiye khone ke waste
Ghazal
Aankhen KHuda ne baKHshi hain rone ke waste
Muneer Shikohabadi