aankhen jin ko dekh na paen sapnon mein bikhra dena 
jitne bhi hain rup tumhaare jite-ji dikhla dena 
raat aur din ke bich kahin par jage soe raston mein 
main tum se ek baat kahunga tum bhi kuchh farma dena 
ab ki rut mein jab dharti ko barkha ki mahkar mile 
mere badan ki miTTi ko bhi rangon mein nahla dena 
dil dariya hai dil sagar hai is dariya is sagar ki 
ek hi lahr ka aanchal thame sari umar bita dena 
hum bhi lai ko tez karenge bundon ki bauchhaar ke sath 
pahla sawan jhulne walo tum bhi peng baDha dena 
fasl tumhaari achchhi hogi jao hamare kahne se 
apne ganw ki har gori ko nai chunariya la dena 
ye mere paude ye mere panchhi ye mere pyare pyare log 
mere nam jo baadal aae basti mein barsa dena 
hijr ki aag mein ai ri hawao do jalte ghar agar kahin 
tanha tanha jalte hon to aag mein aag mila dena 
aaj dhanak mein rang na honge waise ji bahlane ko 
sham hue par nile pile kuchh balloon uDa dena 
aaj ki raat koi bairagan kisi se aansu badlegi 
bahte dariya uDte baadal jahan bhi hon Thahra dena 
jate sal ki aaKHiri shamen baalak chori karti hain 
aangan aangan aag jalana gali gali pahra dena 
os mein bhige shahr se bahar aate din se milna hai 
subh-talak sansar rahe to hum ko jald jaga dena 
nim ki chhanw mein baiThne wale sabhi ke sewak hote hain 
koi nag bhi aa nikle to us ko dudh pila dena 
tere karam se ya-rab sab ko apni apni murad mile 
jis ne hamara dil toDa hai us ko bhi beTa dena
        Ghazal
Aankhen jinko dekh na paen sapnon mein bikhra dena
Rais Farogh

