aankhen jahan hon band andhera wahin se hai
jage hain hum jahan se sawera wahin se hai
jis ja se hai shurua mera kunj-e-arzu
saya bhi naKHl-e-gham ka ghanera wahin se hai
ujDa hua wo bagh-e-jahan hum juda hue
aaseb-e-gham ka dil pe basera wahin se hai
dur ek charagh-e-kushta paDa hai zamin par
shayad sitam ki raat ka Dera wahin se hai

Ghazal
Aankhen jahan hon band andhera wahin se hai
Farasat Rizwi