اردو हिंदी
Aankhen hain surKH honT siyah rang zard hai | Shaahi Shayari
aankhen hain surKH honT siyah rang zard hai

Ghazal

Aankhen hain surKH honT siyah rang zard hai

Murtaza Birlas

;

aankhen hain surKH honT siyah rang zard hai
har shaKHs jaise mere qabile ka fard hai

jab main na tha to meri zamane mein gunj thi
ab main hun aur sare zamane ka dard hai

suraj mein aaj jitni tapish hai kabhi na thi
kya kijiye ki KHun hi rag-o-pai mein sard hai

hum kis safar pe nikle ki shaklen badal gain
chehre pe jis ke dekho masafat ki gard hai

chalta rahe jo aabla-pai ke bawajud
manzil ka mustahiq wahi sahra-naward hai

aisa na ho sahar meri binai chhin le
bedariyon se ab meri aaankhon mein dard hai

bikhra hua hun KHwahish-o-hasrat ke darmiyan
jaise mera wajud abhi fard fard hai