aankhen hain surKH honT siyah rang zard hai
har shaKHs jaise mere qabile ka fard hai
jab main na tha to meri zamane mein gunj thi
ab main hun aur sare zamane ka dard hai
suraj mein aaj jitni tapish hai kabhi na thi
kya kijiye ki KHun hi rag o pai mein sard hai
hum kis safar pe nikle ki shaklen badal gain
chehre pe jis ke dekho masafat ki gard hai
chalta rahe jo aabla-pai ke bawajud
manzil ka mustahiq wahi sahra-naward hai
aisa na ho sahar meri binai chhin le
bedariyon se ab meri aankhon mein dard hai
bikhra hua hun KHwahish-o-hasrat ke darmiyan
jaise mera wajud abhi fard fard hai
Ghazal
Aankhen hain surKH honT siyah rang zard hai
Murtaza Birlas