aankhen gham-e-firaq se hain tar idhar-udhar
gham ka asar hai aaj barabar idhar-udhar
the jo wafa-shiar wo nazr-e-sitam hue
ab kis ko DhunDhta hai sitamgar idhar-udhar
mahfil mein tere husn pe qurban hoga kaun
diwane chal diye jo nikal kar idhar-udhar
saqi ke sath raunaq-e-mai-KHana bhi gai
TuTe paDe hain shisha-o-saghar idhar-udhar
aisa na ho zamana hanse tum par ek din
likkho na mere haal pe hans kar idhar-udhar
dil mein kabhi hai dard jigar mein kabhi KHalish
jaise chhupe hon sine mein nashtar idhar-udhar
apni ghazal sunao 'shamim' ahl-e-zauq ko
zaea karo na fikr ke jauhar idhar-udhar
Ghazal
Aankhen gham-e-firaq se hain tar idhar-udhar
Shamim Fatehpuri