aankhen chura ke hum se bahaar aae ye nahin
hisse mein apne sirf ghubar aae ye nahin
ku-e-gham-e-hayat mein sab umr kaT di
thoDa sa waqt wan bhi guzar aae ye nahin
KHud ishq qurb-e-jism bhi hai qurb-e-jaan ke sath
hum dur hi se un ko pukar aae ye nahin
aankhon mein dil khule hon to mausam ki qaid kya
fasl-e-bahaar hi mein bahaar aae ye nahin
ab kya karen ki husn jahan hai aziz hai
tere siwa kisi pe na pyar aae ye nahin
wadon ko KHun-e-dil se likho tab to baat hai
kaghaz pe qismaton ko sanwar aae ye nahin
kuchh roz aur kal ki murawwat mein kaT len
dil ko yaqin-e-wada-e-yar aae ye nahin
Ghazal
Aankhen chura ke humse bahaar aae ye nahin
Jaan Nisar Akhtar