اردو हिंदी
Aankhen banata dasht ki wusat ko dekhta | Shaahi Shayari
aankhen banata dasht ki wusat ko dekhta

Ghazal

Aankhen banata dasht ki wusat ko dekhta

Ahmad Rizwan

;

aankhen banata dasht ki wusat ko dekhta
hairat banane wale ki hairat ko dekhta

hota na koi kar-e-zamana mere supurd
bas apne karobar-e-mohabbat ko dekhta

kar ke nagar nagar ka safar is zamin par
logon ki bud-o-bash o riwayat ko dekhta

aata agar KHayal shajar chhanw mein nahin
ghar se nikal ke dhup ki hiddat ko dekhta

yun lag raha tha main koi sahra ka peD hun
us sham to agar meri haalat ko dekhta

'ahmad' wo izn-e-did jo deta to ek sham
KHud par guzarne wali aziyyat ko dekhta