aankh uThai nahin wo samne sau bar hue
hijr mein aise faramush-gar-e-didar hue
kaamil us firqa-e-zuhhad mein uTha na koi
kuchh hue to yahi rindan-e-qadah KHwar hue
na uThi baiTh ke KHak apni tere kuche mein
hum na yan dosh-e-hawa ke bhi kabhi yar hue
subh le aaina us but ko dikhaya hum ne
raat aghyar se milne ke jo inkar hue
kuchh tajjub nahin gar ab ke falak TuT paDe
aaj nale jo koi aur bhi do-chaar hue
misr mein aaj tujhe dekh ke pachhtae hain
sada-lauhi se jo yusuf ke KHaridar hue
mubtazil main hi to hun aap jo kahiye sach hai
raat jhagDe to mujhi par sar-e-bazar hue
ye hain 'azurda' jo kahte hue shaian-allah
aaj daryuza-gar-e-KHana-e-KHummar hue
Ghazal
Aankh uThai nahin wo samne sau bar hue
Mufti Sadruddin Aazurda