aankh us pur-jafa se laDti hai
jaan kushti qaza se laDti hai
shola bhaDke na kyun ki mahfil mein
shama tujh bin hawa se laDti hai
qismat us but se ja laDi apni
dekho ahmaq KHuda se laDti hai
shor-e-qulqul ye kyun hai duKHtar-e-raz
kya kisi parsa se laDti hai
nahin mizhgan ki do safen goya
ek bala ek bala se laDti hai
nigah-e-naz us ki aashiq se
chhuT kis kis ada se laDti hai
tere bimar ke sar-e-baalin
maut kya kya shifa se laDti hai
zal-e-duniya ne sulh ki kis din
ye laDaka sada se laDti hai
wah kya kya tabiat apni bhi
ishq mein ibtida se laDti hai
dekh us chashm-e-mast ki shoKHi
jab kisi parsa se laDti hai
teri shamshir-e-KHun ke chhinTon se
chhinTe aab-e-baqa se laDti hai
sach hai al-harb KHudatun ai 'zauq'
nigah us ki dagha se laDti hai
Ghazal
Aankh us pur-jafa se laDti hai
Sheikh Ibrahim Zauq