aankh tishna bhi nahin honT sawali bhi nahin
ye surahi ki bhari bhi nahin KHali bhi nahin
hum saKHi dirham-o-dinar liye phirte hain
shahr-e-nadar mein ab koi sawali bhi nahin
kyun girane ke liye darpai aazar hain log
hum ne buniyaad makan ki abhi Dali bhi nahin
aisi makruh kahani ki ye taswir hai jo
sunne wali bhi nahin dekhne wali bhi nahin
'mohsin'-ehsan ka hai andaz-e-junun sab se alag
ye jalali bhi nahin hai ye jamali bhi nahin
Ghazal
Aankh tishna bhi nahin honT sawali bhi nahin
Mohsin Ehsan