aankh se Tapka jo aansu wo sitara ho gaya
mera daman aaj daman-e-surayya ho gaya
us ke ji mein kya ye aai ye use kya ho gaya
KHud chhupa aalam se aur KHud aalam-ara ho gaya
banda-e-mani kahan surat ka banda ho gaya
sochta hun mujh ko kya hona tha main kya ho gaya
phir tasawwur ne baDha di nala-e-mauzun ki lai
phir sawad-e-fikr se ek sher paida ho gaya
ab kahan mayusiyon mein jhalkiyan ummid ki
wo bhi kya din the ki tera gham gawara ho gaya
jaan de di main ne tang aa kar wufur-e-dard se
aaj mansha-e-jafa-e-dost pura ho gaya
barhaman kahta tha barham shaiKH bol uTha ahad
harf ke ek pher se donon mein jhagDa ho gaya
wahdat o kasrat ke jalwe KHilqat-e-insan mein dekh
ek zarra is qadar phaila ki duniya ho gaya
barbariyat ki jahan mein garm-bazari hui
aadmiyat ki ragon mein KHun ThanDa ho gaya
aashiyan banne na paya tha ki bijli gir paDi
bagh abhi basne na paya tha ki sahra ho gaya
aa gaya sailab baalin tak wufur-e-girya se
rahm kar ya rab ki pani sar se uncha ho gaya
ittifaq-e-waqt tha apna farogh-e-ashiyan
jab koi jugnu chamak uTTha ujala ho gaya
dil khincha jitna qafas mein aashiyane ki taraf
dur itna hi qafas se aashiyana ho gaya
hum musafir the hamara mustaqar koi na tha
raat jab aai jahan aai basera ho gaya
ho gae ruKHsat 'rais' o 'ali' o 'wasif' 'nisar'
rafta rafta aagara 'simab' suna ho gaya
Ghazal
Aankh se Tapka jo aansu wo sitara ho gaya
Seemab Akbarabadi