aankh se KHwab ka rishta nahin rahne deti
yaad us ki mujhe tanha nahin rahne deti
lazzat-e-dar-badari mein baDi wusat hai ki ye
dar-o-diwar ka jhagDa nahin rahne deti
ghar ho ya raunaq-e-bazar kahin bhi jaun
be-qarari to kisi ja nahin rahne deti
band kar lun to ajab naqsh nazar aate hain
aankh mahrum-e-tamasha nahin rahne deti
KHwahish-e-zar ki hawa dil ke siyah-KHane mein
ek diya hai jise jalta nahin rahne deti
Ghazal
Aankh se KHwab ka rishta nahin rahne deti
Farasat Rizwi