aankh se hijr gira dil ne duhai di hai
ishq walon ki kahan chiKH sunai di hai
raat ki shaKH hili aur gire pile phul
dard ke peD ne yun hum ko kamai di hai
shor itna ki sunai na diya tha kuchh bhi
aankh kholi hai to aawaz dikhai di hai
ab nae wasl ki surat hai nikalne wali
hijr ne mere tajassus ko rasai di hai
din ki parchhain mein ek aks larazta dekha
sham Dhalte hi wahi shakl dikhai di hai
Ghazal
Aankh se hijr gira dil ne duhai di hai
Waqas Aziz