اردو हिंदी
Aankh se gham nihan nahin hote | Shaahi Shayari
aankh se gham nihan nahin hote

Ghazal

Aankh se gham nihan nahin hote

Naheed Virk

;

aankh se gham nihan nahin hote
phir bhi aansu rawan nahin hote

umr bhar ka hai tera mera sath
is qadar bad-guman nahin hote

ham-kalam un se hain tasawwur mein
asl mein ye saman nahin hote

yun to kahne ko hum nahin maujud
par ye socho kahan nahin hote

pyar hota hai ya nahin hota
is mein wahm-o-guman nahin hote