aankh se dur na ho dil se utar jaega
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega
itna manus na ho KHalwat-e-gham se apni
tu kabhi KHud ko bhi dekhega to Dar jaega
Dubte Dubte kashti ko uchhaala de dun
main nahin koi to sahil pe utar jaega
zindagi teri ata hai to ye jaane wala
teri baKHshish teri dahliz pe dhar jaega
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraaz'
zalim ab ke bhi na roega to mar jaega
Ghazal
Aankh se dur na ho dil se utar jaega
Ahmad Faraz