اردو हिंदी
Aankh se aansu Tapka hoga | Shaahi Shayari
aankh se aansu Tapka hoga

Ghazal

Aankh se aansu Tapka hoga

Sahil Ahmad

;

aankh se aansu Tapka hoga
subh ka tara TuTa hoga

phail gai hai nur ki chadar
ruKH se aanchal sarka hoga

phail gae hain raat ke sae
aankh se kajal Dhalka hoga

bikhri patti dekh ke gul ki
kaliyon ne kya kya socha hoga

dekh musafir bhut nahin hai
rah ka patta khaDka hoga

aariz-e-gul pe dekh ke shabnam
kaliyon ne munh dhoya hoga

chup chup rahna Thik nahin hai
baat baDhegi charcha hoga

ghum rahe hain shahron shahron
koi to aaKHir tum sa hoga

aaj kuan bhi chiKH uTha hai
kisi ne patthar mara hoga

phail gai hai pyar ki KHushbu
koi patinga jalta hoga

mujh se nata toD ke sahil
wo bhi ab pachhtata hoga