aankh se aansu Dhalka hota
to phir suraj ubhra hota
kahte kahte gham ka fasana
kaTti raat sawera hota
kashti kyun sahil par Dubi
maujen hotin dariya hota
jo garja pyasi dharti par
kash wo baadal barsa hota
phulon mein chhupne walon ko
kanTon mein to DhunDa hota
tujh ko pana sahl nahin hai
sahl jo hota to kya hota
apne sau begane hote
ek yagana apna hota
puchh 'ziya' ye ahl-e-dil se
pyar na hota to kya hota
Ghazal
Aankh se aansu Dhalka hota
Zia Fatehabadi