aankh se aankh milata hai koi
dil ko khinche liye jata hai koi
wae hairat ki bhari mahfil mein
mujh ko tanha nazar aata hai koi
subh ko KHunuk fazaon ki qasam
roz aa aa ke jagata hai koi
manzar-e-husn-e-do-alam ke nisar
mujh ko aaina dikhata hai koi
chahiye KHud pe yaqin-e-kaamil
hausla kis ka baDhata hai koi
sab karishmat-e-tasawwur hain 'shakil'
warna aata hai na jata hai koi
Ghazal
Aankh se aankh milata hai koi
Shakeel Badayuni