aankh se aankh mila baat banata kyun hai
tu agar mujh se KHafa hai to chhupata kyun hai
ghair lagta hai na apnon ki tarah milta hai
tu zamane ki tarah mujh ko satata kyun hai
waqt ke sath hi haalat badal jate hain
ye haqiqat hai magar mujh ko sunata kyun hai
ek muddat se jahan qafile guzre hi nahin
aisi rahon pe charaghon ko jalata kyun hai
Ghazal
Aankh se aankh mila baat banata kyun hai
Saeed Rahi