aankh rakkhe hue sitare par
kashtiyan ja lagin kinare par
waqt paDne pe aazma lena
jaan de denge ek ishaare par
moD par us ne muD ke dekha tha
ji rahe hain isi sahaare par
jhil aankhon mein surmagin aansu
chand be-KHud tha is nazare par
lab-o-ruKHsar aatishin us ke
shabnami raqs tha sharare par
oT mein phir chhapa liya man ne
lash man ki giri dulare par
shahr sara chhaton pe tha 'babar'
chand utra tha phir chaubare par
Ghazal
Aankh rakkhe hue sitare par
Ahmad Sajjad Babar