aankh mein KHwab zamane se alag rakkha hai
aks ko aaina-KHane se alag rakkha hai
ghar mein gul-dan sajae hain teri aamad par
aur ek phul bahane se alag rakkha hai
kuchh hawa mein bhi chalane ke liye rakkha jae
is liye tir nishane se alag rakkha hai
us ke honTon ko nahin aankh ko di hai tarjih
pyas ko pyas bujhane se alag rakkha hai
ghair-mumkin hai kisi aur ke hath aa jae
wo KHazana jo KHazane se alag rakkha hai
ek hawa si kahin bandhi hai chhupane ke liye
ek tamasha sa lagane se alag rakkha hai
KHwab hi KHwab mein tamir kiya hai 'azar'
ghar ko buniyaad uThane se alag rakkha hai
Ghazal
Aankh mein KHwab zamane se alag rakkha hai
Dilawar Ali Aazar