aankh mein KHwab nahin KHwab ka sani bhi nahin
kunj-e-lab mein koi pahli si kahani bhi nahin
DhunDhta phirta hun ek shahr-e-taKHayyul mein tujhe
aur mere pas tere ghar ki nishani bhi nahin
baat jo dil mein dhaDakti hai mohabbat ki tarah
us se kahni bhi nahin us se chhupani bhi nahin
aankh-bhar nind mein kya KHwab sameTen ki abhi
chandni-raat nahin raat-ki-rani bhi nahin
laili-e-husn zara dekh tere dasht-nazhad
sar-ba-sar KHak hain aur KHak uDani bhi nahin
kachche indhan mein sulagna hai aur is shart ke sath
tez karni bhi nahin aag bujhani bhi nahin
ab to yun hai ki tere hijr mein rone ke liye
aankh mein KHun to kya KHun sa pani bhi nahin
Ghazal
Aankh mein KHwab nahin KHwab ka sani bhi nahin
Ayub Khawar