aankh mein aansu nahin shabnam nahin kuchh gham nahin
zaKHm hain jin par koi marham nahin kuchh gham nahin
dard wo de kar musalsal haalat-e-dil puchhte hain
ye inayat bhi to un ki kam nahin kuchh gham nahin
raat ka pichhla pahar hai aur hum KHana-ba-dosh
koi dar-diwar ka matam nahin kuchh gham nahin
har taraf hain KHun se rangin kapDe aur tan
ye hamare shauq ka aalam nahin kuchh gham nahin
sab Dare sahme hue se gum hain apne aap mein
har koi shamil hai is mein hum nahin kuchh gham nahin
Ghazal
Aankh mein aansu nahin shabnam nahin kuchh gham nahin
Nasir Rao